Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya
Ab to yeh bhi yaad nahee hai farq tha kitna dono main
Us ki baatein yaad raheen aur us ka lehja bhool gaya
Pyasi dharti k hothon per mera naam nahee to kya`
Main woh baadal ka tukda hoon jis ko dariya bhool gaya
Uski gali jab yaad aayi hai ghar ka rasta bhool gaya…
No comments:
Post a Comment